120+ inspiration motivational shayari in english
Hello Dosto Read here our all new collection of inspiration motivational shayari in english मोटीवेशनल शायरी in English. We have the best ever inspirational quotes, motivation Shayari for successful life like inspiration Shayari, motivational Shayari, Success Shayari, Motivational Quotes for students and aspirants. So friends stay more motivated. achieve targets and get desired success in life please Red All Shayari.
inspiration motivational shayari in English
dhuup men niklo ghaTaon men naha kar dekho. zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho
khudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle. khuda bande se khud puchhe bata teri raza kya hai
daulat e duniya nahin jaane ki hargiz tere saath. baad tere sab yahin ai be-khabar baT ja egi
kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua. dhona vahi jo dil ki siyahi ko dhoiye
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jaati hain. nakhuda jin ka nahin un ka khuda hota hai
paida vo baat kar ki tujhe ro.en dusre. rona khud apne haal pe ye zaar zaar kya
jahan rahega vahin raushni luTa. ega kisi charagh ka apna makan nahin hota
ye bhi to sochiye kabhi tanha.i men zara. duniya se ham ne kya liya duniya ko kya diya
na ham safar na kisi ham nashin se niklega. hamare paanv ka kanTa hamin se niklega
ye kah ke dil ne mire hausle baDha. e hain ghamon ki dhuup ke aage khushi ke saa.e hain
itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe. raushni khatm na kar aage andhera hoga
in andheron se pare is shab e gham se aage. ik na.i sub.h bhi hai sham-e-alam se aage
ye aur baat ki andhi hamare bas men nahin. magar charagh jalana to ikhtiyar men hai
ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah. khud banata hai jahan men aadmi apni jagah
haar ho jaati hai jab maan liya jaata hai. jiit tab hoti hai jab Thaan liya jaata hai
mat baiTh ashiyan men paron ko sameT kar. kar hausla kushada faza men uDaan ka
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil men hai. dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil men hai
tiir khane ki havas hai to jigar paida kar. sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar
rasta sochte rahne se kidhar banta hai. sar men sauda ho to divar men dar banta hai
dushmani jam kar karo lekin ye gunja.ish rahe. jab kabhi ham dost ho jaa.en to sharminda na hon
ham badalte hain rukh havaon ka. aa e duniya hamare saath chale
kisu mashrab men aur maz.hab men. zulm ai mehrban nahin hai durust
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar len. kisi rote hue bachche ko hansaya jaa e
qatra na ho to bahr na aa.e vajud men. paani ki ek buund samundar se kam nahin
yaqin ho to koi rasta nikalta hai. hava ki oT bhi le kar charagh jalta hai
takoge raah saharon ki tum miyan kab tak. qadam uThao ki taqdir intizar men hai
idhar falak ko hai zid bijliyan girane ki. udhar hamen bhi hai dhun ashiyan banane ki
jalane vaale jalate hi hain charagh akhir. ye kya kaha ki hava tez hai zamane ki
kinare hi se tufan ka tamasha dekhne vaale. kinare se kabhi andaza e tufan nahin hota
jo tufanon men palte ja rahe hain. vahi duniya badalte ja rahe hain
dil na umid to nahin nakam hi to hai. lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
saare patthar nahin hote hain malamat ka nishan. vo bhi patthar hai jo manzil ka nishan deta hai
kaif paida kar samundar ki tarah. vus aten khamoshiyan gahra iyan
log jis haal men marne ki dua karte hain. main ne us haal men jiine ki qasam khaa.i hai
vaqt ki gardishon ka gham na karo. hausle mushkilon men palte hain
dushmani laakh sahi khatm na kiije rishta. dil mile ya na mile haath milate rahiye
duniya men vahi shakhs hai tazim ke qabil. jis shakhs ne halat ka rukh moD diya ho
mire junun ka natija zarur niklega. isi siyah samundar se nuur niklega
baare duniya men raho gham zada ya shaad raho. aisa kuchh kar ke chalo yaan ki bahut yaad raho
koshish bhi kar umiid bhi rakh rasta bhi chun. phir is ke ba.ad thoDa muqaddar talash kar
bachchon ke chhoTe hathon ko chand sitare chhune do. chaar kitaben paDh kar ye bhi ham jaise ho ja enge
Post a Comment